Poetry On Ashura | 9th 10th Muharram Shayari in Urdu | Muharram Shayari

 

Poetry On Ashura | 9th 10th Muharram Shayari in Urdu | Muharram Shayari

Poetry On Ashura | 9th 10th Muharram Shayari in Urdu | Muharram Shayari | Muharram Poetry

Find here Muharram shayari in Urdu, Allama Iqbal Muharram Shayari, Shayari on Imam Hussain in Urdu, Muharram Poetry in Urdu, Karbala Poetry by Allama Iqbal, Karbala Shayari in Urdu, Muharram quotes In Urdu SMS, Karbala Poetry in Urdu text, Hussain Shayari in Urdu, Muharram Quotes in Urdu text, 9 Muharram Poetry in Urdu & Karbala Poetry sms.


Kya Sirf Musalman Ke Pyare Hai Husain (R.A)
Charkh-E-Noh-E-Bashar ke Tare Hai Husain (R.A)

Insaan Ko Bedaar To Ho lene do
Har Qaum Pukaregi Hamare Hai Husain (R.A)

*****
Imam Hussain Poetry | Muharram Shayari


Shah Hasst Hussain, Baadshah e Hasst Hussain
Din Hasst Hussain Din Panaah e Hasst Hussain

Sarr Daad Naa Daad Dasst Daar Dasst E Yaazid
Haqqah Key Binay e Laa Ielaah Hasst Hussain.

*****

Affzal hai koul Jahan sey gharana Hussain Ka,
Nabiyeon ka tajdaar hai nana Hussain Ka,

Aik pal kei thei bass hakoumat yazid Kei,
Sadiyaan Hussain kei Hain zamana Hussain Ka.

*****
Muharram ki shayari, Muharram Poetry in Urdu, Muharram shayari image, Muharram shayari in hindi,
Muharram shayari in Urdu, Muharram shayari in hindi, Shayari for Muharram,
*****

Ghuroor toot gaya koi martaba na mila
jafa k baad unhe hasil-e-jafa na mila

Sar-E-hussain mila hai yazeed ko laikin
Shikast ye hai ke phir bhi jhuka howa na mila۔

*****
Imam Hussain Shayari | Muharram Shayari



Qatil-e-Hussain (R.A) asal mein marg-e-yazeed ha
Islam zinda hota hai her karbala ke bad.

*****

Jahan punche shaheedan-e-wafa ke khun ke boo aai
Qadam jis jis jagha rakhe zameen kerbala pai.

*****


Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye He Lyrics in Urdu / Hindi


Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye He Lyrics in Urdu / Hindi

Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hain,
Deen E Muhammadiee K Gulshan Khila Diye Hain.
Bole Hussain Maula, Teri Raza Ki Khaatir,
Ik Ik Kar K Maine Heerey Luta Diye Hain.
Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hain,
Deen E Muhammadiee K Gulshan Khila Diye Hain.
Deen-E-Nabi Pe Waari, Akbar Ne Bhi Jawaani,
Abbas Ne Bhi Apne Bazoo Kata Diye Hain.
Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hain,
Deen E Muhammadiee K Gulshan Khila Diye Hain.
Zainab K Baag Mein Bhi Do Phool Thy Mehkateh,
Zainab Ne Wo Bhi Donoh Raah-E-Khuda Diye Hain.
Zahra Ke Naaz Paaleh, Jhoolo’n Pe Soneh Wale,
Karbala Ki Khaak Mein Wo Heerey Luta Gaye Hain.
Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hain,
Deen E Muhammadiee K Gulshan Khila Diye Hain.
Bakhshish Hai Unki Laazim, Syed K Gham Mein Hafiz,
Do Chaar Aansoo Roh Kar Jisne Baha Diye Hain.
Syed Ne Karbala Mein Waade Nibha Diye Hain,
Deen-E-Muhammadi K Gulshan Kilya Diye Hain

Post a Comment

Dear Visitor, how did you like this post? If you like this post, please share it with your friends and Express your valuable opinion. Don't write spam comment here. Thanks

Previous Post Next Post

Popular Posts